top of page

Ghamon Ne Gher Liya Hai Mujhe Toh Kya Gham Hai



Sardar Anjum Ghamon ne gher liya hai mujhe toh kya gham hai Main muskuraa ke jiyuunga teri jiyuungi aapke khushi ke liye Kabhi kabhi tu aap mujhe yaad kar toh leti hai lete ho Sukuun itna sa kaafi hai zindagi ke liye Ye vaqt jisne palat kar kabhi nahin dekha Ye vaqt ab bhi muraadon ke phal laataa hai Vo mod jisne humein ajnabi banaa daala Us ek mod pe dil ab bhi gungunaata hai Fizaayen rukti hain raahon par jin se hum guzre Ghataayen aaj bhi jhuk kar salaam karti hain Har ek shab ye sunaa hai falak se kuch pariyaan Vafaa ka chaand humaare hi naam karti hain Ye mat kaho ki muhabbat se kuch nahin paayaa Ye mere geet mere zakhm-e-dil ki rulaai Jinhen tarasti rahi anjuman ki rangeeni Mujhe mili hai muqaddar se aisi tanhaai

© Surya Murali

0 views0 comments

Related Posts

See All

bottom of page